Saturday, December 8, 2007

YE RISHTEY....

Kisne tode hai,Kisne banaye hai,
Jeevan me nahi iske maine hai,
Dil, dard, mohabbat, nafrat,
Pyar,Sukh bas yahi iske aaiyne hai.
Ateet ke jharokho se uthte,
Aandhio me beh jate hai,
Unch neech ki gati pakde,
Thame nahi tham pate hai.
Hai meethe bhi, kadve bhi,
Apne bhi, paraye bhi,
Sage bhi, Sautale bhi,
Ujyaro me andhiyare bhi.
Kaha se hui hai shuru,
Khatm hue aakar kaha,
Nibhte nibhate yug beete,
Na jaane aakar rukenge kaha.
Sapno me saje, aankho me dikhe,
Deepak se jale, Dilo ke tale.
Hiro se nahi, Moti se lage,
Pyar se hi bas apne bane.
Dost ki aan nahi, Dosti ki shaan hai,
Bikne se bikte nahi, Har dil ki jaan hai.
Nafrat ke nahi paimane yeh,
Bas aman ke hai chole,
Boonde nahi sirf oos ki,
Tej vrsha ke hai mohre.
Toofano se nahi ghabrate hai,
Aandhio se lad jate hai,
Roke nahi ruk pate hai,
Badte hi chale jate hai.
Dooria har dil ki, Mitakar bad pate hai,
Najdikia banakar hi, Ek shola sa ban jate hai.
Bade nahi, chote nahi,
Najro ke do teer hai,
Mere nahi, Tere nahi
Hum sabke albele meet hai.
Kalaieyo pe bandhte hai,
Mathe par sajte hai,
Dhadkan me rehte hai,
Saanse bhi inhe kehte hai.
Paas kab aate hai,
Door kab chale jate hai,
Samjhne samjhane me hi,
Aksar tut tut se jate hai.
Sanskaro se khilte hai,
Aaj nahi to kal dhalte hai,
Dhalkar tut nahi pate hai,
Ki phir se mehak uthte hai.
Chudi bankar khanakte hai,
Payal se chanakte hai,
Bindi se damakte hai,
Sindoor se chamakte hai.
Raat ke hai, Din ke nahi,
Aaj ke hai, Kal ke nahi,
Dukh ke hai, Sukh ke nahi,
Aisa,kaha kisne sahi ?
Yeh hawa chalti aandhi banke,
Toofan se takra jati hai,
Yeh shola dehke chingari banke,
Aag ko bhuja jati hai.
Cha jate sadabahar ki haryali banke,
Na patjhad me sukhe, Na savan me chamke,
Kali inme un phoolo ki,
Jo khile to na din, na raat dekhe.
Chapi nahi gayi iski kahani pustako me,
Gyat hoti hai yeh apne dil ki dard-e-deewaro me.
Panapti nahi jaha nafrat,
Pyar ki bahati ganga mein,
Jaha aate nahi Dukh,
Sukh ki abhimani lanka mein.
Ye veh shastra hai,
Jinko chalane ki jarurat nahi,
Shatru ke paas aate hi,
Sanghar karne se jo darte nahi.
Har mushkil ko aasan kar jate hai,
Ruthe ko manakar, Rote ko hasakar jate hai,
Tabhi log inhe...
‘RISHTE’ ke naam se sajate hai.

2 comments:

Urvazeee said...

heyy baby... so u r very happenning as u chose color pink to define ur blog... dat's kewl... keep blogging n v can become blog frends 2

RAJEEV KUMAR said...

YA SWEETY