Saturday, December 8, 2007

GRAPHICS BY ME...





























YE RISHTEY....

Kisne tode hai,Kisne banaye hai,
Jeevan me nahi iske maine hai,
Dil, dard, mohabbat, nafrat,
Pyar,Sukh bas yahi iske aaiyne hai.
Ateet ke jharokho se uthte,
Aandhio me beh jate hai,
Unch neech ki gati pakde,
Thame nahi tham pate hai.
Hai meethe bhi, kadve bhi,
Apne bhi, paraye bhi,
Sage bhi, Sautale bhi,
Ujyaro me andhiyare bhi.
Kaha se hui hai shuru,
Khatm hue aakar kaha,
Nibhte nibhate yug beete,
Na jaane aakar rukenge kaha.
Sapno me saje, aankho me dikhe,
Deepak se jale, Dilo ke tale.
Hiro se nahi, Moti se lage,
Pyar se hi bas apne bane.
Dost ki aan nahi, Dosti ki shaan hai,
Bikne se bikte nahi, Har dil ki jaan hai.
Nafrat ke nahi paimane yeh,
Bas aman ke hai chole,
Boonde nahi sirf oos ki,
Tej vrsha ke hai mohre.
Toofano se nahi ghabrate hai,
Aandhio se lad jate hai,
Roke nahi ruk pate hai,
Badte hi chale jate hai.
Dooria har dil ki, Mitakar bad pate hai,
Najdikia banakar hi, Ek shola sa ban jate hai.
Bade nahi, chote nahi,
Najro ke do teer hai,
Mere nahi, Tere nahi
Hum sabke albele meet hai.
Kalaieyo pe bandhte hai,
Mathe par sajte hai,
Dhadkan me rehte hai,
Saanse bhi inhe kehte hai.
Paas kab aate hai,
Door kab chale jate hai,
Samjhne samjhane me hi,
Aksar tut tut se jate hai.
Sanskaro se khilte hai,
Aaj nahi to kal dhalte hai,
Dhalkar tut nahi pate hai,
Ki phir se mehak uthte hai.
Chudi bankar khanakte hai,
Payal se chanakte hai,
Bindi se damakte hai,
Sindoor se chamakte hai.
Raat ke hai, Din ke nahi,
Aaj ke hai, Kal ke nahi,
Dukh ke hai, Sukh ke nahi,
Aisa,kaha kisne sahi ?
Yeh hawa chalti aandhi banke,
Toofan se takra jati hai,
Yeh shola dehke chingari banke,
Aag ko bhuja jati hai.
Cha jate sadabahar ki haryali banke,
Na patjhad me sukhe, Na savan me chamke,
Kali inme un phoolo ki,
Jo khile to na din, na raat dekhe.
Chapi nahi gayi iski kahani pustako me,
Gyat hoti hai yeh apne dil ki dard-e-deewaro me.
Panapti nahi jaha nafrat,
Pyar ki bahati ganga mein,
Jaha aate nahi Dukh,
Sukh ki abhimani lanka mein.
Ye veh shastra hai,
Jinko chalane ki jarurat nahi,
Shatru ke paas aate hi,
Sanghar karne se jo darte nahi.
Har mushkil ko aasan kar jate hai,
Ruthe ko manakar, Rote ko hasakar jate hai,
Tabhi log inhe...
‘RISHTE’ ke naam se sajate hai.

Filmo Ka Bukhar....

Jab ‘Pyar kia to Darna Kya’,
Shuru hoti aise ‘Love Story’,
‘Dil’ ka kya-kya haal hai hota,
Jaise chura leta hai koi ‘Chori Chori’.
‘Kasme’ hoti sang jeene ki,
‘Vaade’ hote sang marne ke,
Rahe hoti ‘Ishq’ ki,
Irade hote ‘Laila Majnu’ ke.
‘Kaante’ chahe jitne ho,
Bhavro se nai chup sakte,
‘Angare’ chahe jitne ho,
‘Foolo’ se nai bach sakte.
Jud jate hai jab ‘Dil ke Rishte’,
Phir tut nai kbi pate hai,
Par kaha gaya hai ye gaano me hi,
‘Sheesha ho ya Dil ho tut hi jate hai’.
‘Deewano’ ka tab kya haal hai hota,
‘Deewangi’ me pagal ho jate hai,
‘Deewanepan’ me hi aksar,
Na jane kya kuch keh jate hai.
‘O...O Jane jana, Dhunde tujhe deewana,
Sapno me roj aaye, aa jindagi me aana’
.
‘Talaash’ rahe apni mehbooba ko,
Sapno ke is ‘Jaal’ me,
Phas gaye ye ‘Masoom’ bechare,
‘Pyar’ ke mayajaal me.
Mashukayo ka bhi kya hua,
Jaise Dard-e-dil ka karar hua,
Khoye hue sapno me vo bhi kuch keh gayi,
‘Hum Tumhare hai Sanam’, ‘Mujhe Tumse Pyar hua’.
‘Mere sapno ka vo Raja, Mere dil ka vo Rajkumar,
Mai to uski shehjadi banungi, Mujhko aane laga uspe Pyar’
.
Khwabo ki is ‘Mehfil’ me,
Dhund rahi apne ‘Aashiq’ ko,
Mohabbat ki ‘Hakikat’ me,
Talaash rahi ‘Aashique’ ko.
Dil ko inke hai ‘Koi mil gaya’,
Ya shyad ‘Dil pardesi ho gaya’,
Hota hai inko kuch kuch,
‘Dhadkan’ keh jati sabkuch.
Natija yeh hoga,
Humne socha nai tha,
‘Deewane’ uuon Jhumenge,
Humne jana na tha.
‘Chura Lia Hai Tumne’
Ab to ‘Dil hai Tumhara’,
‘Jeena Sirf mere Lie’,
Kehta hai ‘Ye Dil’ hamara.

Tuesday, December 4, 2007

Web designs...













Designed in PHOTOSHOP CS2

Monday, December 3, 2007

Ek Sapna…..

Aankhen band karke dekhta tha,
Thoda hasta tha, thoda gungunata tha,
Ek alag hi duniya me rehta tha,
Main vo jo sapno se bhari jindagi jeeta tha.
Bachpan ki bachkani aakhon me,
Kya sapna koi panap pata tha,
Jab neend hoti ‘Maa ke aachal me’,
Ur papa ka pyar barista tha.
Ungli pakadkar chalna seekhe,
Tutlate-tutlate bolna seekhe,
Sapne chalte jindagi sang,
Par tab jindagi jeena kaha seekhe.
Hosh sambhala,tab aahat hui,
Kadmo ko thamne ki chahat hui,
Dinbhar ki aapathapi me,
Jab neend mili to rahat hui.
Aaha,kis duniya me maine kab janm lia,
Jaha itna sakoon mehsus kia,
Khud hi to rah banti gayi,
Phir kyu hakikat me itna jatn kia.
Aaya kaise main is mayanagri me,
Jisne Mumbai mujhe phuchaya tha,
Thehra main ek chota sa admi,
Aaj itna bada kyu najar aa rha tha.
Sharukh mere bangle pea aye,
Salman ne mujhe phone kia,
Ajay ke sath cigratte pi,
Ur sanjay ke sath juice pia.
Amitabh chachu ka P.A. aaya,
Abishek ki shaadi ka bulava aaya,
Abto nachunga main baarat me,
Jab Aish didi ne mujhe personally bulaya.
Milta nahi ab time hai,
Bhansali ka mila ishara tha,
Chale aayo Saawariya tum,
Sonam se tujhe milana tha.
Lights, Camere ki aawaz aayi,
Abhi madhuri ke saath hi matka tha,
Par aaya ye pani kaha se,
Dekha papa ne balti bharke mara tha.
Hai, itna haseen sapna tha,
Kaha kaha nai main ho aaya tha,
Chan se tut gaya sapna ye,
Subah-subah main kitna roya tha.
Phir na kbi laut ke aaya,
Aksar neend me aas lagaya,
Bhulu to main bhul jau kaise,
Dil ne tha abtak umeed lagaya.